Tuesday, April 29, 2014

kuchh log dost ban jate hain....!!! ♥♥♥


Bade ajeeb hain ye zindagi ke raaste,
anjane mod par kuchh log dost ban jate hain,
milne ki khushi de ya na de
bichhadne ka gam zarur de jate hain…

Sanso K Liye,....!!! ♥♥♥


 
Thodi-Thodi Sanso K Liye,
Humne Zindagi Bechi,
Parchhaiyon Se Tang Aa K,
Humne Roshni Bechi,
Aankho Mein Bas Aansu Hi Reh Gaye,
Varna Duniawalon Ne To Dosti Bhi Bechi…

khuda ka tabeez......!!! ♥♥♥


Teri dosti mein khud ko mehfooz maante hain,
Hum doston mein tumhe sabse azeez maante hain.
Teri dosti ke saaye mein zinda hain,
Hum to tujhe khuda ka diya hua tabeez maante hain…

apki yaad...����


Kashti behti hai kinare ki talash mein….
Log milte hai pyaar ki aas mein….
Hum roz mila nahi karte….
Magar kuch waqt zarur bitate hai apki yaad mein..!!

Monday, October 7, 2013

Dunia Me..

Tumhaare Haal Pooch Lene Se, Konsa Haal Theek Hona Hai, Ae dost... Bas Tasalli Ho Jaati Hai, Ki Dunia Me Koi Apna Bhi Hai."  "Khusi Se Beete Har Din, Har Raat Suhane Raat Ho, Jis Tarf Aap Ke Kadam Padhe, Wahaa Phoolo Ke Barsaat Ho..!

Wednesday, July 31, 2013

Nice_shayari

Bahut Udaas Hai Koi Shaks Tere Jaane Se..
Ho Sake To Laut Aa Kisi Bahane Se..
Tu Laakh Khafa Sahi Magar Ek Baar To Dekh..
Koi Toot Sa Gaya Hai Tere Chale Jaane Se..!

Sad_love_shayari

Yun HumKo Sataane Ki Zaroorat Kya Thi,
Dil Mera Tod Ke Jaane Ki Zaroorat Kya Thi,
Jo Nahin Tha Ishq To Keh Diya Hota,
Humein Yun Aazmaane Ki Zaroorat Kya Thi,
Maaloom Tha Gahre Khwaab Toot Jaayenge,
Neind Mein AaKar Jagaane Ki Zaroorat Kya Thi..